Jab uss ki zulf mein pehla safaid baal aya,
Tab uss ko pehli mulaqat ka khayal aya;
Phhir aaj uss ne bohat berukhi dikhayi mujhe,
Woh, goya, shehr se bahar mujhe nikaal aya;
Guzar sakay na kabhi tere hijr ke shab-o-roz,
Na din dhala, na kabhi raat ko zawaal aya;
Zara si der mein khali hui meri aankhein,
Main apne ashq tere raaste mein daal aya;
Woh jis ka zikr hum inti khushi se karte hain,
Wohi tou umr mein sabhi se udaas saal aya;
Bohat dinon se main zindon mein tha na murdon mein,
Ghazal hui tou mere dasht mein ghazaal aya.
-Shahzad Ahmed
1 comment:
tera ghazal mugh ko etna bhaya
main bina hainse na rah paya
bakwas .com ne kiya mera nas
waqat ko kiya satya naas....
ANWAR BAIG
MUMBAI
INDIA
Post a Comment