Friday, December 22, 2006

Sign

I may well be the calming oasis in the desert of your confusion.

If only you would realize that.

Tuesday, November 07, 2006

Doori

Dah-e-hasti ko saada kar liya hai,
Judaai ka iraada kar liya hai.
Kabhi saath mein jo dekhte they,
Woh poora chaand aadha kar liya hai.
Humein rehna hai ab tanhayion mein,
Mohabbat ko zyada kar liya hai.

-Unknown.

Tuesday, September 05, 2006

Void

There is lack of love in your hearts; I see it all the time.
There is evil all around us; You do it all the time.

Wednesday, June 28, 2006

Existence

Na tha kuchh tou, Khuda tha.
Kuchh na hota tou, Khuda hota.
Duboya mujh ko, honay ne.
Na hota main, tou kya hota?

-Assadullah Khan Ghalib

Tuesday, June 27, 2006

I Miss You

Maikaday band karein, laakh zamanay walay
Shehr mein kam nahi hain, aankhon se pilanay walay.

-Maikade (Hariharan)

Lagan laagi tum se man ki lagan
Lagan laagi tum se man ki lagan
Gali gali ghoomein
Dil tujhe dhoonde
Tere bin tarse nayen
Aa ja o meri jaan
Mere dil ka jahaan
Maange teri khabar
Dhoonde tera nishaan
Laagi tum se man ki lagan
Lagan laagi tum se man ki lagan

-Man ki lagan (OST: Paap)

Tujhe dekh dekh sona
Tujhe dekh kar hai jagna
Maine yeh zindagaani
Sang tere bitaani
Tujh mein basi hai meri jaan
Jiyaa dharak dharak, jiyaa dharak dharak jaye
Jiyaa dharak dharak, jiyaa dharak dharak jaye
Kab se hain dil mein mere
Armaan kayee unkahay
In ko tu sun le aaja
Chahat ke rang charha jaa
Kehna kabhi tou mera maan haye
Jiyaa dharak dharak, jiyaa dharak dharak jaye
Jiyaa dharak dharak, jiyaa dharak dharak jaye

-Tujhe Dekh Dekh (OST: Kalyug)

Saturday, June 24, 2006

Without You

Ishq junoon jab hadd se barh jaye
Hastay hastay aashiq sooli charh jaye

Ishq ka jaado sar charh kar bolay
Khoob laga lo pehray, rastay Rab kholay

Yehi ishq di marzi hai, yehi Rab di marzi hai
Tere bin jeena kaisa, haan khudgharzi hai

Tere naam se jee loon
Tere naam se mar jaoon

-Kailash Kher

Friday, June 02, 2006

Divergence

'Tere rang rang, tere rang rang;
Tere rang rang, tere rang rang,
Har soo, har jaa;
Har soo, har jaa.
Main jahan bhi jaaon duniya mein
Tere jalway mere sang sang.'

Abrar's amazing voice and these undeniable facts of our existence start of one of the best songs (and his favorite) that he has ever sung. His bout with Sufi-ism is no where close to Junoon's, yet with this particular rendition, he has outdone himself. Though its quite an old track; recorded around 2000, it was never picturized and thus never really gained any popularity, unlike other catchy hits like 'Nach Punjaban' and 'Billo'. His crisp voice, when he starts off with these lyrics, induces within me the truth of what he is singing about. The existence of Allah The Almighty (or merely God for those of you who dont share my beliefs) itself speaks to me, and in essence I stare into the expanse of this world and see, without actually seeing, that He does exists; all around us, within us.

'Tu ne ataa kiya,
Maine bhula diya.
Tu ne phhir se diya,
Na shukar kiya, na shukar kiya.
Tu ne aur diya, deta hi gaya, deta hi gaya;
Moun mor liye daryaaon ke,
Maine hawa mein urna seekh liya (Maine hawa mein urna seekh liya)
Meri agli nazar sitaaron par (Meri agli nazar sitaron par)
Phhir bhi main tere saharon par'

This part however, fails to move me, because I for one realize and understand the nature of humanity to an extent. I know how ungrateful a creature man is. How hollow he really is inside. How man is always asking for more and more. He fools himself into thinking that this world is all there is and he can accomplish any task. He thinks he can be god. In that process, man fails to realize how wrong he is and leads the whole world to a state of destruction and anarchy. These words shouldnt shock you, or anyone else for that matter. Everyone knows that man is on a journey to find omnipotence. The belief, however, that man shall fail this quest, is held by only a few.

'Main zaat paat mein, oonch neech mein,
Aur firqon mein bata hua.
Jo sachayee ko jhutla de,
Dil aisi gard se atta hua.
Shikwa naheen jism ki mitti se,
Ke rooh bhi ab beqaaboo hai.
Tere hukam pe chalna ek taraf,
Tera naam bhi lena yaad naheen.
Kam se kam mujh ko lauta de (Kam se kam mujh ko lauta de)
Woh rooh aur jism ki jang jang.'

This particular stanza holds the most meaning. You realize the triviality of the caste systems around the world. It screams of the call for equality. It describes how man has inherently become so blind to the world's carnage and mass destruction, both physical and emotional, that he cannot make the distinction between right and wrong. The last two lines are nothing short of phenomenal in snapping man back to reality, making him realize how dead he is inside.

Gone are the days we had men of honor and some mission in life. Not a facade. Not some mission to be God. Though they were people I respect, they can in NO way be compared to one another or thought to be similar. They were very different people, fighting for very different reasons, seeing very different futures. Abraham (pbuh). Moses (pbuh). Mohammad (pbuh). Hitler. Jinnah. All we see are men fighting to marry men, and women fighting to marry women. All we see is the fight for control over oil. All we see is the hypocrisy of the world when they can protest The DaVinci Code's release on the basis of blasphemy and religious intolerance, yet find the protests of Muslims on the obnoxious caricatures of their prophet, as distasteful. All we see is the facade of democracy and freedom. You dont see THEM anymore. You dont see the inner strife THEY went through. You dont see any changes in the world around you simply because though fighting on the outside, man is dead inside. He no longer has a conscience.

Wednesday, May 31, 2006

Fanaa

Tu khoobsoorat hai, yeh tujhe hai maloom,
Bheegi aankhon mein hai yeh bheega bheega pyaar;
Aa tujhe rang doon is bahaar ke mausam mein,
Main woh hoon, jis ka tujhe sadion se intizaar tha.

Aa gaya hoon main ab jo teri zindagi mein,
Is pyaar ki qasm hai jaan-e-man meri;
Fanaa ho jaoon ga, jo bhula diya tum ne,
Aakhir iss pal ka hi to sadion se intizaar tha.

Sunday, February 12, 2006

Patience

D'you remember our last fight?
Or did you forget what it was about?
I dont know why, but
Was there room for doubt?

D'you not miss that night?
Or did you forget what it meant to me?
Tangled in the telephone wire
As if your body was draped around me.

D'you not know the feeling?
Or did you mock me again?
When we talked of Mahiwaal, and how;
Love found both in the end?

D'you not sway with emotion?
Or are you numb inside?
The endless love singes my heart; yet I,
Do not long for the pain to subside.

D'you always put on this mask?
Or is it your heart is of stone?
Are my wishes plain pointless?
What of the dreams that you have shown?

D'you pretend to even know my name?
Or is it that we can never be?
My love, all I can say is, at the end of the day;
Save the last dance for me.

Saturday, January 28, 2006

Drug

This one saved MY life too.

'Fuck the poets of the past, my friends.
There are no beautiful suicides,
Just cold corpses with shit in their pants
And the end of the gifts.'

Hasraton Ke Daagh

Jo Hum Ne Daastan - Lata Mangeshkar

Jo hum ne daastaan apni sunayee
Aap kyun roye?
Tabahi to hamaray dil pe ayee
Aap kyun roye?
...
Ghamon ki aag hum ne khud lagayee
Aap kyun roye?
...
Qayamat aap ke ashkon ne dhayee
Aap kyun roye?
...
Fanaa ho jaye gi saari khudai
Aap kyun roye?

Akhiyon Ko Rehne De - Lata Mangeshkar

Akhiyon ko rehne de
Akhiyon ke aas paas
Door se dil ki
Bujhti rahay pyaas

Dard zamanay mein
Kam naheen miltay
Sab ko mohabbat ke
Gham naheen miltay

Tootnay walay dil
Hotay hain kuchh khaas
Door se dil ki
Bujhti rahay pyaas

Reh gayee duniya mein
Naam ki khushiyan
Tere mere kis
Kaam ki khushiyan?

Saari umar hum ko
Rehna hai yun udaas
Door se dil ki
Bujhti rahay pyaas

Ek Tu Na Mila - Lata Mangeshkar

Ek tu na mila
Saari duniya milay bhi to kya hai?
Mera dil na khila
Saari baghiya khilay bhi to kya hai?

Dharti hoon main
Aur tu gagan
Ho ga kahan
Tera mera milan?
Laakh pehre yahan
Pyaar dil mein palay bhi to kya hai?

Taqdeer ki main
Koi bhool hoon
Daali se bichhra
Hua phool hoon
Saath tera naheen
Sang duniya chalay bhi to kya hai?

Ghairon Pe Karam - Lata Mangeshkar

Ghairon pe karam
Apnon pe sitam
Ae jaan-e-wafa
Yeh zulm na kar
Ghairon pe karam
Apnon pe sitam
Ae jaan-e-wafa
Yeh zulm na kar
Rehne bhi de ab thora sa bharam

Hum chahnay walay hain tere
Yun hum ko jalana theek naheen
Mehfil mein tamasha ban jayen
Iss darja ka taana theek naheen
Mar jayenge humm , mit jayenge hum
Ae jaan-e-wafa yeh zulm na kar
Ghairon pe karam, apnon pe sitam

Ghairon ke thiraktay shaanay par
Yeh haath gawaara kaise karein?
Har baaat gawaara hai lekin
Yeh baat gawaara kaise karein?
Tujh ko teri bedardi ki kasm
Ae jaan-e-wafa yeh zulm na kar
Ghairon pe karam, apnon pe sitam

Hum bhi thay tere manzoor-e-nazar
Jee chahay tu ab iqraar na kar
Sau teer chala seenay par
Begaanon se mil kar waar na kar
Be-maut kaheen mar jayen na hum
Ae jaan-e-wafa yeh zulm na kar
Ghairon pe karam, apnon pe sitam

Aap Ki Nazron - Lata Mangeshkar

Aap ki nazron ne samjha
Pyaar ke qaabil mujhe
Dil ki ae dharkan thehr ja
Mil gayee manzil mujhe

Jee humein manzoor hai
Aap ka yeh faisla
Keh rahi hai har nazar
Banda-parvar shukriya
Hass ke apni zindagi mein
Kar liya shaamil mujhe
Dil ki ae dharkan thehr jaa
Mil gayee manzil mujhe

Aap ki manzil hoon main
Meri manzil aap hain
Kyun main toofaan se daroon?
Mera saahil aap hain
Koi toofaanon se keh de
Mil gaya saahil mujhe
Dil ki ae dharkan thehr jaa
Mil gayee manzil mujhe

Barh gayeen dil par mere
Aap ki parchhayaan
Har taraf bajnay lageen
Sainkaron shehnayaan
Do jahan ki aaj khushiyan
Ho gayeen haasil mujhe

These lyrics have more meaning to me than any english song iv ever heard. And no one in the world understands that but me and kishmish, on a sad evening.

کاغز

ان کاغزوں کا کیا کروں تیرا نام جن پے لکھا تھا کورے رہے نا وہ، نا میں شائید ایسا ہی لکھا تھا