Tum door jaa rahi thi,
Mein bhi door jaa raha tha;
Mohabbat ki talash mein,
Sehraaoon mein tap raha tha.
Khuda se bola mein ne,
Yeh aarzoo hai meri;
Nigahein hamari mila de,
Kya shaan hai yeh teri.
Kya kya naheen kiya tha,
Uss ishq ke liye ham nein;
Faawwaron mein bhi phenke,
Choom ke sikkay ham nein.
Un sikkon ka sila tou,
Iss janam na mil paye ga;
Lagta to yahi hai meri jaan,
Tu mere janazay par hi aye ga.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
کاغز
ان کاغزوں کا کیا کروں تیرا نام جن پے لکھا تھا کورے رہے نا وہ، نا میں شائید ایسا ہی لکھا تھا
-
Water drips in the distance, The insects wiggle afar; I lie here half-awake, yet self-aware. He calously calls out to me, 'You're a ...
-
You could try to run away, Or hide behind a mask; Pretend that it's not there, About love, you dare not ask. You may be far away from me...
-
The sparkle in your eyes The twitch of your lips The touch of your hand That bend of the hips The softness of your hijaab The crudeness of y...
2 comments:
itna hopelessness ...? abhi seh ?
'Un sikkon ka sila tou,
Iss janam na mil paye ga;
Lagta to yahi hai meri jaan,
Tu mere janazay par hi aye ga.'
wah wah.. irshaad.
peish hai, aik aur arzoo.
~aik aarzoo hai
aik khuwahish
aik chaah rakhta hoon
apnay dil mein, is jism mein
aik khushi chahta hoon
aik dharakti kiran ka talabgar hoon
sun rahay ho na?
tum kyun sunoh gay.
tum ne apnay waday torhay
tum ne apni haqeeqatoun ko jhoot qaraar deeya
tum ne apnay mureedoun ko dhoka deeya
tum meri kiya suno gay?
tum toh khud aarzoo rakhtay ho.
tum Khuda ki baatein kero
mein Khudai ki baatein kerta hoon.
Aik far'q hai, aik choti si tabdeeli.
aur tum kiya jano.
tum hee toh ho.
tum hee thay na?
jab na waqt tha na arz?
tum hee ho gay na?
jab na waqt ho ga na arzoo?
na sub'h, na raat ki woh tareeki, woh ghuttan?
tum hee toh ho.
ho na?~
Post a Comment