Friday, December 24, 2004

Bas Tum

Teri un zulfon ki khusbu
Abhi bhi taaza hai meri bahon mein
Jo aansoo tum ne bahaye mere kandhay par
Numi kar gaye hain meri bhi aankhon mein

Ghari ghari raah dekhta hoon main teri
Aaati naheen hai tu, nakhray dikhati hai
Adaayen hi hain teri jo mujhe bhaa jaati hain
Aankhon aankhon mein bol tu kya batati hai?

Tere siwa mera hai kaun?
Jo sunay meri baatein, meri sab faryaadein?
Rab janay kya ho ga gar aisa ho...
Reh jayen mere paas teri sirf yaadein.

No comments:

کاغز

ان کاغزوں کا کیا کروں تیرا نام جن پے لکھا تھا کورے رہے نا وہ، نا میں شائید ایسا ہی لکھا تھا