nafrat ki us aandhi se mein lar na saka hoon,
uss himmat ka nazariya bekaar hi raha
zillat ki is zindagi se ab mein thak chuka hoon
apno mein reh ke bhi mein tanha hi raha.
kya karoon...kahan jaoon?
raste hain bohat, himmat bhi hai kaafi,
par ujar jaye ga yeh ghar,
rokney ke liye mujhe yahi hai bas kaafi
kya ho ga uss ka?
kahan jaye gi woh?
jis ne guzaaray hain aansooon ke pachees saal
iss zamanay mein kis ke paas jaye gi woh?
kya hai uss ke paas?
kya hai uss ka samaan?
do joray, kuchh aansoo,
tootay khwaab, or adhooray armaan?
kaise chhor doon mein uss ka saath,
na doon ussay mein apna pyaar
kya yeh hai uss ki mohabbat ka ajar?
uss ke liye kuchh bhi karne ko hoon mein tayaar
par woh kaun hai?
ek aurat? bas? aur kuchh naheen?
uss ki maamta ki hai koi qeemat?
maan sirf mera khuda hai, aur kuchh bhi naheen.
I love you mom! I hope you know that.
1 comment:
pavel, this is not bakwaas.
roshni ka maksad na dhoondo
naa us ke saey mein uss ke mai'ney talash kero
us ke kadam talay jannat hei
woh lut'f tumhari dunyawi soch ko nahi samajh aa sakta
tum ne jannat dekhi hee kahan hai
uss ka aik arzi roop dekha hai
samjho mat
na samajhnay ki koshish karo
yeh tumhari agli duniya ka sarmaya hai
iss ko samajhnay ki koshish mein iss ki khoobsurti na tabah kero.
take care dude.
Post a Comment