Wednesday, November 07, 2007

Kaho

Jo hum keh dein ke humein mohabbat hai tum se,
Kaho kya jawab do ge?
Hum jo keh dein woh baatein saari,
Jo chhupa ke rakhi thi khud se bhi ab talak hum ne,
Woh rakhar dil-e-betaab,
Jis ka chhupna meri aankhon mein ab mumkin nahi mazeed,
To bolo na, kya jawab do ge?
Jo bata doon ke har lamha bin tere jo guzarta hai,
Mujhe achha nahi lagta;
Sach maano ke ab tum bin,
Kuchh bhala nahi lagta;
Phhoolon ka khilna bhi jaise mann ko nahi jachta;
Rang jitne bhi phhailay hain,
Koi bhi apna nahi lagta;
Jo keh doon ke woh ik shakhs,
Meri duniya hai rangeen jis se,
Tum ho,
To kya jawab do ge?
Jo keh main ye doon tum se,
Ke rooh ban ke tum ab mujh mein,
Utar se gaye ho,
Khushboo ki manind,
Meri saanson mein,
Bikhar se gaye ho,
Meri baaton mein, khwabon mein, haseen subho ke ujalon mein,
Meri hasti ki khalaon mein bhar se gaye ho,
Main keh doon agar tum se,
Ke ab to aksar main,
Khud se bhi anjan ho kar,
Jis ki soch mein rehta hoon,
Woh dil nasheen mojza tum ho,
Kya jawab do ge?
Jo kisi khat mein main tum ko,
Apna dil yeh likh bhejoon,
Iss dil-e-nadaan ki hasrat yeh likh bhejoon,
Yaa itne faaslay par bhi jo hai qayem,
Woh qurbat likh bhejoon,
Kaho kya jawab do ge?
Kaho, kya jawab do ge?

1 comment:

lizzie said...

makes one completely speechless....

کاغز

ان کاغزوں کا کیا کروں تیرا نام جن پے لکھا تھا کورے رہے نا وہ، نا میں شائید ایسا ہی لکھا تھا