Monday, August 06, 2007

Socha tha

Aaina dekh ke bole yeh sanwarne wale
Ab to be-maut marenge mere marne wale

Dekhke tumko hosh mein aana bhool gaye
Yaad rahe tum aur zamaana bhool gaye

Jab saamne tum
Jab saamne tum, aa jaate ho
Kya jaaniye kya ho jaata hai
Kuchh mil jaata hai, kuchh kho jaata hai
Kya jaaniye kya ho jaata hai

Chaaha tha yeh kahenge
Socha tha socha tha woh kahenge
Aaye woh saamne to, kuchh bhi na keh sake
Bas dekha kiye unhein ham

Dekh kar tujhko yakeen hota hai
Dekh kar tujhko yakeen hota hai
Koi itna bhi haseen hota hai
Dekh paate hain kahan ham tumko dil kahin hosh kahin hota hai

Jab saamne tum
Ho jab saamne tum, aa jaate ho
Kya jaaniye kya ho jaata hai
Kuchh mil jaata hai, kuchh kho jaata hai
Kya jaaniye kya ho jaata hai

Aa kar chale na jaana, aise nahin sataana
De kar hansi labon ko, aankhon ko mar rulaana
Dena na beqaraari dil ka karaar ban ke
Yaadon mein kho na jaana tum intezaar ban ke, intezar ban ke

Bhool kar tumko na jee payenge
Bhool kar tumko na jee payenge
Saath tum hogi jahan jayenge
Ham koi waqt nahin hain hamdam
Jab bulaaoge chale aayenge

Jab saamne tum
Haa haa jab saamne tum, aa jaate ho
Kya jaaniye kya ho jaata hai
Kuchh mil jaata hai, kuchh kho jaata hai
Kya jaaniye kya ho jaata hai

1 comment:

lizzie said...

I love this gazal soo much!!:):)

کاغز

ان کاغزوں کا کیا کروں تیرا نام جن پے لکھا تھا کورے رہے نا وہ، نا میں شائید ایسا ہی لکھا تھا