Saturday, January 28, 2006

Drug

This one saved MY life too.

'Fuck the poets of the past, my friends.
There are no beautiful suicides,
Just cold corpses with shit in their pants
And the end of the gifts.'

Hasraton Ke Daagh

Jo Hum Ne Daastan - Lata Mangeshkar

Jo hum ne daastaan apni sunayee
Aap kyun roye?
Tabahi to hamaray dil pe ayee
Aap kyun roye?
...
Ghamon ki aag hum ne khud lagayee
Aap kyun roye?
...
Qayamat aap ke ashkon ne dhayee
Aap kyun roye?
...
Fanaa ho jaye gi saari khudai
Aap kyun roye?

Akhiyon Ko Rehne De - Lata Mangeshkar

Akhiyon ko rehne de
Akhiyon ke aas paas
Door se dil ki
Bujhti rahay pyaas

Dard zamanay mein
Kam naheen miltay
Sab ko mohabbat ke
Gham naheen miltay

Tootnay walay dil
Hotay hain kuchh khaas
Door se dil ki
Bujhti rahay pyaas

Reh gayee duniya mein
Naam ki khushiyan
Tere mere kis
Kaam ki khushiyan?

Saari umar hum ko
Rehna hai yun udaas
Door se dil ki
Bujhti rahay pyaas

Ek Tu Na Mila - Lata Mangeshkar

Ek tu na mila
Saari duniya milay bhi to kya hai?
Mera dil na khila
Saari baghiya khilay bhi to kya hai?

Dharti hoon main
Aur tu gagan
Ho ga kahan
Tera mera milan?
Laakh pehre yahan
Pyaar dil mein palay bhi to kya hai?

Taqdeer ki main
Koi bhool hoon
Daali se bichhra
Hua phool hoon
Saath tera naheen
Sang duniya chalay bhi to kya hai?

Ghairon Pe Karam - Lata Mangeshkar

Ghairon pe karam
Apnon pe sitam
Ae jaan-e-wafa
Yeh zulm na kar
Ghairon pe karam
Apnon pe sitam
Ae jaan-e-wafa
Yeh zulm na kar
Rehne bhi de ab thora sa bharam

Hum chahnay walay hain tere
Yun hum ko jalana theek naheen
Mehfil mein tamasha ban jayen
Iss darja ka taana theek naheen
Mar jayenge humm , mit jayenge hum
Ae jaan-e-wafa yeh zulm na kar
Ghairon pe karam, apnon pe sitam

Ghairon ke thiraktay shaanay par
Yeh haath gawaara kaise karein?
Har baaat gawaara hai lekin
Yeh baat gawaara kaise karein?
Tujh ko teri bedardi ki kasm
Ae jaan-e-wafa yeh zulm na kar
Ghairon pe karam, apnon pe sitam

Hum bhi thay tere manzoor-e-nazar
Jee chahay tu ab iqraar na kar
Sau teer chala seenay par
Begaanon se mil kar waar na kar
Be-maut kaheen mar jayen na hum
Ae jaan-e-wafa yeh zulm na kar
Ghairon pe karam, apnon pe sitam

Aap Ki Nazron - Lata Mangeshkar

Aap ki nazron ne samjha
Pyaar ke qaabil mujhe
Dil ki ae dharkan thehr ja
Mil gayee manzil mujhe

Jee humein manzoor hai
Aap ka yeh faisla
Keh rahi hai har nazar
Banda-parvar shukriya
Hass ke apni zindagi mein
Kar liya shaamil mujhe
Dil ki ae dharkan thehr jaa
Mil gayee manzil mujhe

Aap ki manzil hoon main
Meri manzil aap hain
Kyun main toofaan se daroon?
Mera saahil aap hain
Koi toofaanon se keh de
Mil gaya saahil mujhe
Dil ki ae dharkan thehr jaa
Mil gayee manzil mujhe

Barh gayeen dil par mere
Aap ki parchhayaan
Har taraf bajnay lageen
Sainkaron shehnayaan
Do jahan ki aaj khushiyan
Ho gayeen haasil mujhe

These lyrics have more meaning to me than any english song iv ever heard. And no one in the world understands that but me and kishmish, on a sad evening.

کاغز

ان کاغزوں کا کیا کروں تیرا نام جن پے لکھا تھا کورے رہے نا وہ، نا میں شائید ایسا ہی لکھا تھا