Saturday, March 19, 2005

Khush?

Kho bhi jaaoon tere nainon mein
Meri chahat to adhoori rahay gi
Jab bhi tanhayee ka aalam ho
Awaaz teri phhir goonj utthay gi

Gird-o-nawah ki is bheer mein
Meri rooh tujhe pukarti hai
Kis mor pe khara hai tu?
Teri manzil tujhe pukarti hai

Aankhein num to hain, dil hai afsurda
Teri yaad mein kitna hum peetay hain
Tu kya jaanay, kaise hum roz
Ghut ghut kar yeh zindagi jeetay hain

Tujh se baat karne ka
Mauqa bhi to naheen
Teri ek jhalak hi hai mere paas
Aur kuchh bhi to naheen

کاغز

ان کاغزوں کا کیا کروں تیرا نام جن پے لکھا تھا کورے رہے نا وہ، نا میں شائید ایسا ہی لکھا تھا