Saturday, December 17, 2005

Intizaar

Tumhein roka is kashmakash ne,
Dil ne kya tha kaha?
Ishq se labrez yeh qalb hamatan-gosh hai,
Labon se tu ne kyun na kaha?

Jin ke saharay ishq tha seekha,
Un se kya tha kaha?
Batao muhabbat kya hai; janab,
Khaaksaar se kyun na kaha?

Kaantay jab chubbhay thay tumhein,
Phoolon se kya tha kaha?
Aansoo aye thay jab teri aankhon mein,
Ponchney ko hum se kyun na kaha?

Aaj ke jab tera intizaar hai, mehboob,
Pehli shab tu ne kya tha kaha?
Naheen thay hum gar wafadar,
Yeh gila hum se kyun na kaha?

Taa qayamat rahay gi meri mohabbat,
Tujh se main kya tha kaha?
Mere khwabon ki taabeer hai tu,
Iss se pehle yeh tujh se kyun na kaha?

No comments:

کاغز

ان کاغزوں کا کیا کروں تیرا نام جن پے لکھا تھا کورے رہے نا وہ، نا میں شائید ایسا ہی لکھا تھا