Saturday, May 07, 2005

Sitam

Woh pyaar to na paa sakay
Jis ke liye taraptay thay hum
Tu ne haath chhura liya to kya?
Bhool gaye mujhe tere sitam?

Jab milay thay pehli baar
Tere nainon mein kho gaye thay hum
Teri awaaz ko sanson mein bharnay lagay
Tere kehkahay hi dhar gaye woh sitam.

Samajh mein na aye yeh baat
Kis raah par chal rahay thay hum
Dar-ba-dar us andheray mein
Sehtay rahay tere sitam.

Dost tha main? Ya woh bhi naheen?
Teri nazron mein kya reh gaye thay hum?
Pyaar naheen to naa sahi,
Dhaye mujh pe kyun woh sitam?

Aur aaj, jabke hum sadaa rahein ge judaa
Waqt...yeh din aur raat...kaise guzarein ge hum?
Pyaar ke siwa diya kya tha tujhe main ne?
Badlay mein jis ke milay tere sitam.

Apne hi saye mein chhup ke
Tere bin bhi jeena seekh lein ge hum;
Par dua hai meri tujhe phhir bhi
Jaise bhi thay tere sitam.

کاغز

ان کاغزوں کا کیا کروں تیرا نام جن پے لکھا تھا کورے رہے نا وہ، نا میں شائید ایسا ہی لکھا تھا