Tuesday, December 21, 2004

Maaf Karo; Naheen Chahiye

Aadat se majboor hoon main
Peena main naheen chahta
Gham hai ke bas jaata naheen
Is saroor mein main khona naheen chahta.

Ban baitha hoon mein jogi
Pyar, Ishq yaa Muhabbat? Kya hoon main chahta?
Sab ek hi rog ke hain naam
Is haal mein bhes bhi badalna naheen chahta

Aansoo aatay hain par jam jatay hain
Inhein bahana main naheen chahta
Uss ke un jhootay waadon ke liye
Aankhein num karna mein naheen chahta.

Konay mein para hoon,
Uthna naheen chahta
Par apne khuda se bhi pooch lo,
Tujh jaise bewafa ke liye mein jaan dena naheen chahta.

Socha tha do gi tum mera saath
Tumhara wahan ho ke bhi na hona main naheen chahta
Aakhir iss botal ke gird hi aya na mera haath
Tumhare woh thanday haath ab main naheen chahta.

Rehne bhi do ab, chhoro tum
Dhokay mein phhir main aana naheen chahta
Jao chun lo tum woh phool, woh gulab,
Kaanton bhari yeh mohabbat main naheen chahta.

2 comments:

Mumra said...

irshaad irshaad!!

btw love your picture on the top! boht aalaa man... some day you'll have to design my blog like that for me, okay ? :D

and its shEmrez!! :(

Sarah said...

hahah.this is great'!

کاغز

ان کاغزوں کا کیا کروں تیرا نام جن پے لکھا تھا کورے رہے نا وہ، نا میں شائید ایسا ہی لکھا تھا